Gemini

Gemini Horoscope In Urdu 2016: Bohat years ke baad kisi ke liye aisa time aata hai ke jub qudrat aisay mawaqa paida karti hai ke koi insan apni zaat ke andar jhankay aur apni kamzooriyon aur khoobiyon se agah ho. Aisa tabhi mumkin hota hai jub Allah Ta'ala kisi par meharban ho aur us ke liye asaniyan faraham kare. Gemini people apni life ke us door se guzar rahe hain, jub saad sitara mushtari un ke pehle ghar yani un ki sochaur un ke zehan mein bara jaman hai. Ab ye aap par munhasir hai ke aap falak se anay wali is roshni ko apne shaoor aur dil mein kis had tak utarte hain. Year 2016 apni zaat ke muhasbay ka saal hai, jun andhere chat'tey hain aur dimagh mit'tay hain aur mann ujala hota hai.
Gemini Horoscope 2016 In Urdu
Taqreeban 12 years ke baad is sitare ke ghar mein aana.... is baat ki nishandehi karta hai ke aap apni zindagi ke aney wale waqt ke liye mansooba bandi karain. Aksar Gemini people apni zindagi ke aisay door se guzar rahe hain ke jub unhon ne apne iraday ko pane ki thaan rakhi hai lekin khayal rahe ke hadaf kesa hai! ho sakta hai ke jise aap darust samajhte hon woh ikhlaq ya rawayat ki nazar mein darust na ho. Lihaza sahi simat ikhtiyar karain aur shidat talab mein koi ghalat fehmi na uthayain kyoun ke us waqt aap ki zaat mein bala ki khud aitmadi hai aur ye confidence kabhi kabhi nuqsan ka sabab bhi ban sakta hai. Aap ka khubsurat andaz mein baat karna aur friendly behaviour aap ke halqa ahbab mein wust ka baes bane ga.

0 comments:

Post a Comment