Cancer

Cancer Horoscope In Urdu 2016: Saal 2016 ke 6th month ke baad se aap ki zindagi mein zati tarbiyat ke mawaqa paida hon gey aur aisay zehni ausaf paida hon gey jin ke liye aap kabhi koshan thay. Aisay Cancer people jo mazi mein mushkil halaat ki bana par apne taleemi safar jari na rakh sake, 2016 un ke liye dobara aisay mawaqa paida kare ga ke woh apni taleemi istadad mein izafa kar sakain. Is ke sath sath ye year jazbati mamlat mein bohat aham ho ga aur aap se taqaza kare ga ke un mamlat par, jin ke hawale se aap baat karna gawara na karte thay, chahe us ki wajah sharam-o-haya thi ya kisi ka ahtram, ab baat zaroor karain aur aoni zarooriyat, soch aur masail se dusron ko agah karain. Is ke sath sath 2016 aap ko aisay afrad ke hawale se jo haliya days mein aap ki zindagi mein aye hain, mohtat tarz amal ikhtiyar karne ka mashwara deta hai. Aap ki kamyabiyon ki wajah se aisay asaar bante dikhai dete hain jin se purane taluqat mutasir ho sakte hain. Year 2016 aap se is baat ka taqaza jarta hai ke apni samaji zumadariyon ko ahsan tareeqa se pura karain.
Cancer Horoscope 2016 In Urdu
Khasoosan agar aap apne parents se door hain tou un ki mali zarooriyat ke sath sath un ki jazbati wabastgi aur tanhai ke asrat ko mehsoos karain aur insani rishton ki kami ko sirf paisay se pura karne ki koshish na karain. Behtar ho ga ke apne waqt ki is tarah taqseem karain ke aap un ke sath musalsal rabtay mein rahain. Agar aap mehsoos karain gey ke apni insani zumaidariyon ko ache andaz se nahin nibha rahe tou dusron se zayada aap khud mutasir hon gey, lihaza apne apne zehni sakoon aur dili khushi ke liye aap dusron ki zindagiyon mein khushiyan bantain. 2016 mein bohat se mamlat mein behtari ke asaar paida hon gey. Aisay afrad jo kisi aur jagah sakoonat akhtiyar karna chahte hain, un ke liye bhi aisa karna mumkin ho sake ga.

0 comments:

Post a Comment