Taurus

Taurus Horoscope In Urdu 2016: Taurus people ke liye 2016 year milay juley halaat ka hamil ho ga. Sitara mushtari saal ke ibtidai 6 months tak khana maal par bara jaman ho ga, jis ki wajah se us ke saad asrat mali mamlat ko behtar karne ki koshish karain gey, albata sitara zohal satwein ghar aqrab mein hone ki wajah se zayada tawaja, mehnat aur justuju ka taqaza kare ga. Ye woh waqt hota hai jub behtari ke liye ki gyi koshishain amooman zayada faida mand nahin hotein balkeh gilay shikway aur ghalat fehmiyan paida ho sakti hain.

Azdwaji taluqat mein khinchai, choti choti baton par narazi, jis ka doraniya kayi dinon par muheet ho, se wasta par sakta hai. Taurus ka hukmaran sitara Zohra hai jo mohabbat, sukh aur asaish ka talabgar hota hai. Ye sitara satwein ghar ke nehs asrat ki wajah se mutasir ho sakta hai. Shadi shuda afrad ki jinsi zindagi bhi mutasir ho sakti hai, jis se mazaj mein zayada bagar paida hone ke imkanat hote hain. Albata 2016 ke darmiyan ke baad agley 6 months behtar hon gey kyoun ke mushtari ka teesre ghar mein aana.... 7th house ko behtar karta hai. Ye waqt ruthay hue rishtay daron ko mananay, naye kaam ke aghaz aur mazi ki ghalat fehmiyin ko door karne ke liye munasib hai.
Taurus 2016 Horoscope Urdu
Aqalmand afrad jo mazi mein is sitare ke asrat se guzar chuke hain un ke liye aik sabaq ho ga ke woh jazbati mamlaat ko qabu mein rakhain aur choti choti baton par istiyal mein na ayain. Zindagi rawan dawan rehti hai, albata bure waqt mein kahe gye talkh ilfaz aik ghao ban kar rishton mein talkhiyan aur dukh bharte rehte hain. Behtar ho ga ke kisi bhi maslay ko tool na dain. Aisar aur mohabbat ka rawaiya apnayain. Dusron se wohi salook karain, jis ke aap khud talabgar hain.

Young Taurus ke liye ye waqt zayada important ho ga, rishte natay agey barhain gey, par bazurg afrad ka rawaiya mayoosi ka sabab ho ga aur aap ko aisa mehsoos ho ga ke qareebi logon ke darmiyan aik khaleej hael ho chuki hai. Jis ki wajah se woh aap ke jazbat ko samajhne se qasir hain. 2016 Taurus star walon ko burdbari aur mashawarat ka saal hai.

0 comments:

Post a Comment