Pisces

Pisces Horoscope In Urdu 2016: Qanooni mamlaat aap ki zindagi mein bohat aham hon gey. Mulazmat mein koi bhi kaam karte hue is baat ko madnazar rahain ke is ke liye jawab deh hona par sakta hai. Agar mamlaat shafaf hon gey tou aap ko qatan preshani nahin ho gi warna ye waqt aap ko mushkilat mein lapait sakta hai, isi tarah agar moroosi jaidad ya karobari wajuhat ki bina par muqadmat ka shikar hain tou aap ko lambe arsay tak fawaid hasil karte dikhai nahin dete. Aisi surat mein behtar ho ga ke aap mutalqa afrad se rabta karain aur chahay kam kam faida hi kyoun na ho lekin jo aaj milay, woh mustaqbil mein milne wale zayada munafa se behtar hai, isay apne tasaraf mein la kar mayari zindagi behtar kar sakte hain jabkeh muqadma bazi ke chakar mein par gye tou waqt aur paisay ke zaya ka dar hai. Koi bhi kaam karain, chahe kisi ko udhar bhi dain tou koshish karain ke baqaida tehreeri shakal mein saboot mojood ho.

Aisa dikhai deta hai ke aap is khawahish ka izhar karte hue ghabratay hain ke aap basilsila rozgar ya behtar tarz zindagi ke liye beron-e-mulk safar ikhtiyar karna chahte hain. Apni khawahishat aur soch ko hamdard aur samajhdar rufqa ke samne bayan karain aur mashwara talab karain. Zaroori nahin ke foori toor par aisa karna mumkin ho, albata 2016 ke darmiyanay arsay ke baad jub mushtari halat sharf mein 5th house mein ho ga tou darust ahbab aap ki madad ke liye agey barh sakte hain.

0 comments:

Post a Comment