Sagittarius

Sagittarius Horoscope In Urdu 2016: Sagittarius se taluq rakhne wale logon ke liye 2016 year khasa aham ho ga. Aham kaam mukammal hon gey aur naye kamon ka aghaz ho ga lekin un sub se zayada aham Sagittarius people ki personal life hai. Shadi shuda Sagittarius ke liye khasoosan jin ki age 29 se 36 years ke darmiyan hai, ye waqt bohat aham ho ga. Rishton mein khasi ghalat fehmiyan paida ho sakti hain kyoun ke sitara zohal aap ki zindagi mein apna pehla chakar mukamal kar ke jub dusre chakar ki taraf barhta hai tou bohat se naye asaar lata hai, jo ache aur bure donon ho sakte hain. Banay hue rishtay toot bhi saktay hain aur khuch naye rishtay banane ki khawahish bhi shidat ikhtiyar kar sakti hai. Ye jazbati toor par kafi mohtat rehne ka waqt hai.

Sagittarius Horoscope In Urdu 2016
2016 ko lagne wala is saal ka pehla suraj grahan aap ki zindagi mein halchal paida kar sakta hai. Mulazmat mein ghair yaqeeni suraj haal ban sakti hai. Aisay mein aap ka namunasib rawaiya mazeed kharabiyan paida kar sakta hai. Ache karobari taluqat ghalat fehmi ka shikar ho sakte hain. Jhagre ki surat mein ye waqt samjhotay aur baat cheet ke zariye mamlaat ko tay karne ka taqaza karta hai. Agar koi jeewan sathi milay tou us ke mali halaat aur wasail ke sath sath us ke zati ausaf aur ala kardar ko bhi mad-e-nazar rakhain. Allah Ta'ala naseeb acha kare, paisa aur asaesh tou mil hi jati hain. Albata zehni ham ahangi na hone ke masayel hal nahin hote, is liye haqeeqat pasandana rawaiya ikhtyar karna behtar ho ga.

0 comments:

Post a Comment