Libra

Libra Horoscope In Urdu 2016: Khubsurati aur munsifana soch ka hamil sitara Zohra Libra ka hukmaran hai, aisay Libra people jo apne shamsi sarh sati ke teesre door mein dakhil hue hain, un ke liye qadre behtar aur pursakon halaat paida ho rahe hain. Go ke aap ne pichle years mein khasa sakht waqt guzara hai lekin yaqeenan ye zindagi ke woh lamhat hon gey, jub aap ne bohat khuch seekha ho ga. Ab sitara Zohal aap ke zaichay ke dusre ghar mein yani khana maal mein mojood hai, is position mein aap ko mali mamlat mein apne aala ausaf aur mazi ki tarbiyat ki istimal karte hue behtareeb salahiyaton ka muzahira karna ho ga.

Libra Horoscope In Urdu 2016
Ho sakta hai ke aap ko apne maqasid ke husool ke liye financial toor par khuch tangi se guzarna pare lekin year 2016 ke ibtidai 3 months ke baad halaat behtari ki taraf gamzan hona shuru hon gey aur mushtari ki saad nazar aap ne ninth house se naye mawaqa, itminan qalb aur rohani pukhtagi ke sath jo khuch muyasir hai, usi par qanaat karne ka dars de gi aur aap mehsoos karain gey ke bila wajah ki preshaniyan aur bechaini jo halaat behtar hone ke bawajod bhi aap ke sath thien, zehni toor par aap ko is tarah mutasir nahin kar rahien, jis tarah pehle kar rahi thien, taham aap ka waqt abhi bhi aisa hi hai ke jis mein aap ko khasay mohtat tarz amal ka muzahira karna ho ga.

3 comments:

  1. Aslam o Alikum bhai contact with me 03056004248


    you need a website a rabta karo ma ap se baat karna chahta ho

    ReplyDelete